Hawaein (Poem)


Dheemi si, bhini si jo chal padi hai ye hawa
Na kisi mod ki ise khabar, na manzil ka koi pata
Khushboo ek saundhi se, lipatke apne saath
Is gehri bheed me bhi, thi alag usme kuch baat

Aankhon me thi jaise ab, ek alag si kashish
Dil me thi jagi, ek nayi chaah, ek nayi si khwaish
Dhunte chale hum, jaane kaisi ye diwangee
Na tha koi ishaara, bas wo mehek hi pechaan thi

Chudiyon ki wo khanak, udte un zulfon ke saath
Suraj ke kirnonsi khilti us hasi me, thi kuch to baat
Ankhon me ek masti si, kar de ghayal jo dil sabhi
Adaaon me hue jo guum, hua to pyaar fir abhi

Dekha jo mudkar, us muskurahat ka kya kehna
Na gam na shikwa, us pal me hi thame tha rehna
Beete kitne saal, aaj bhi dekh unhe ruk jaati saans
Thama saalon pehle jo haath, 
            Hai aaj bhi us pyaar ka ehsaas...

1 comment:

Powered by Blogger.