Jhilmilate Taaron Mein (Poem)


Jhilmilate taaron mein
    Chipi hai lakhon kahaniyaan
Dekh unhe lagta hai
    Ho hamari bhi kuch nishaniyaan

Har din saanjh jab aati hai
    Taaron ke sang nayi paheliyaan lati hai
Jaane zindagi aaj kise alag kar jayegi
    Jaane kaunsa naya naam saath jod jayegi

Kuchh beeti baatein
    Kuch aanewale pal
Kuch purane rishte
    Kuch naye mulakaton ke pal

Kuch inme apni muhar laga jayenge
    Kuch naam na jaane kahan kho jayenge

Na socha maine kabhi 
    Mera hoga kya
Na jaane kya kahin koi 
    Mujhe bhi dhundta hoga kya

Ya fir bas ek akele taare ki tarah
    Main bhi kahin kho jaoonga

Mujhko samajhne wale 
    Bahut kam hai yaha
Mujhko jaanne waale 
    Bahut kam hai yaha

Na rahe inse se door 
    Yehi zindagi ka irada
Na rahu isne alag 
    Na maangu isse jyada

Taaron ka kya hai
    Har roz hi aate hai
Hamari nahi to kya 
    Kisi aur ki kahani suna jate hai

8 comments:

Powered by Blogger.