Azaadi (Poem)
Milegi jaane kab aisi azaadi
Karein wahi bas jo dil kahe...
Faste chale jaate, din prati din
Jeene waise, chahe duniya jaise...
Raah jo seedhi nazar aati
Kabhi na uspe manzil mil pati...
Chalte chale jaate zindagi bhar
Kabhi iss orr, kabhi uss dagar...
Mod hai aate is zindagi me hazaar
Raah apni palatni, bas ek hi baar...
Dekhe kaha le jaayegi ye hawaein
Chahe odha de jeet, ya mile dard ki baahein
Khushi se tab jee to payenge
Jaha bhi jaayein, hasti surat dikhayenge...
Manzil na mile, na mile daulat shumaar
Ranjish to na hogi, na suni dil ki pukaar...
Very nice Shahid
ReplyDeleteExcellent poem keep it up 👍👌👌
ReplyDelete