Maa (Poem)


Tujhse hi to seekhe humne, apne pehle akshar
Tere hi to sikhaye paaya, humne apna gyaan
Thoda sa jo daant bhi deti, bhale hi darr jaate hum
Usi daant ke hi to chalte, ban paaye achhe insaan

Ganit ho ya vigyaan-bhugol, 
Jab bhi hota padhai se dabba gol
Kabhi milti tujhse, apaar gyaan ki baarish
Kabhi darake deti, dimaag ke dhage khol
Har us yaad ko kabhi na payenge bhool
Teri yehi khatti meethi baatein banati inhe anmol

Pyaar tha tera, ke kar paye zindagi me kuch naam
Fir chahe wo ghar ho, ya fir ho daftar ka kaam
Tujhi se to mili hume, mamta ki sahi parakh
Bann paayen acche mata pita, jab aaye hamari santaan

Kehne saari baatein, lag jayenge din aur raat
Gam thi ya khushiyaan, sab hi me tha tera saath
Bann jaayein tujhse hum, aisi ho hamari pehchaan
Ke khushi se phoole seena, jab koi kahe
Ye to hai, bilkul apne maa ke samaan

1 comment:

Powered by Blogger.