Aks (Poem)


Aaine se poocha maine aaj
    Tujhe to dikhte har kisike raaz
Khushi to dikhata har koi yahaan pe
    Sachai ki parakh chipi tere hi jahaan me
Kya dikhta tujhe har ek aks me bata
    Logon ke chehron se parda to hata

Jaisa jo dikhta na hota wo kabhi
    Labon pe jo harf wo dil me hai nahi
Dard har kisi me basa, hai ye sabko pata
    Aaine ka sach, rakhte apnon se lapata
Jo na hota gar ye zindagi me hamare
    Jaane kaha se laate sab, jeene ke sahare

Aaine se to kehte, dil ke har armaan
    Yahi to hota halka, dard ka samaan
Yahi se to milti, ek taaqat si ankahi
    Isine to suni, tumhare rooh ki kahi
Kaash ke hum apnon se kar paate bayaan
    Gam ho jate kam, khushiyon me basta jahaan

Aaine ke saar par, chipate sapne kai
    Keh jo dete inhe, zindagi hoti aur kahi
Saathi jo mil jaye, ke fir na ho apne aks se baat
    Aasoon ho ya hasi, baat sako jiske saath
Na darr, na shikwa, na gam ki ho barsaat
    Jis din samajh jao, jud jaooge zindagi ke saath

No comments

Powered by Blogger.