Ek Alag Dosti (Poem)


Mushkil hai zindagi,
Kam hai muqammal sahare
Tumse na milte kahin,
Dhunde kai mod kinare

Mulaqatein na hoti to kya, 

Khayalon me ghar hai hamare
Bhulenge kaise tumhe hum, 

Saath ki jo aadat hai tumhare

Ankhon me lekar kuch chipe armaan
Labon pe lipti wo mithi muskaan
Sadgi me hai ek alag si kashish
Sharma ke jo has do, na mangenge jahaan

Kaise samjhenge log, k
ya rishta hamara
Na dikhta ye wahan, jahan muasharon ka daayra**
Na zamane ki soch, ye koshish fizool
Jo naata hamara, na hoga inhe ye qubool 

Yaadein hai aisi, m
uskurahatein jo baatein
Na hoti mushayaron me, hoti tumse jitni baatein
Na gila ka darr, na shikwa tum jatate
Tabhi to kar paate, dil ki choti badi har baatein

Mulaqatein na hoti to kya, 

Khayalon me ghar hai hamare
Bhulenge kaise tumhe hum, 

Saath ki jo aadat hai tumhare

** muasharon ka daayra = boundaries of society

3 comments:

Powered by Blogger.